सर्च इंजन ऑप्टिमाइजेशन (seo) क्या है और on page seo कैसे करते है?

on-page-seo-kya-hai-kaise-kare
Seo क्या है और on page seo कैसे करें

Bahut se log blogging is liye band kar dete hai kyonki unko apne blog me koi traffic yani ki blog ko padhne wale visitor nahi dikhai deta hai, vaise to blog me traffic badhane ke bahut se raste internet per maujood hai inme se hi ek hai apne blog ko Search engine ke liye optimize karke traffic pana jise seo bhi kahte hai to chaliye aaj isi topic pe baat karte hai aur aapko batate hai ki search engine optimization (SEO) kya hota hai aur iska prayog blog par traffic badhane ke liye kaise karte hai.

Kisi bhi searh engine jaise Google, Yahoo, Bing se jo traffic hamare blog ko milta hai usko hum organic traffic kahte hai yah blog par visitor badhane ka sabse best tareeka hai. Jo blogger apne blog par organic traffic badhana chahta hai use apne blog ka search engine optimization (seo) karna padta hai to chaliy jante hai ki ise kaise kare.

Yanha hum aapko vistar se batate hai, jab bhi aap koi sawal ya kuch bhi google par search karte hai to aapko vah apne result page par bahut si website aur blog dikhata hai lekin hum kewal unhi website aur blog ki link par click karte hai jo ki pahle page par show ho rahi hoti hai bahut kam log 2,3 page check karte hai. Isase aap kya samjhe iska matlab hua ki jo website aur blog searh engine result ke pahle page par dikhte hai unko sabse adhik organic traffic milta hai.

Kaun se blog ya website ke page searh result ke pahle page me dikhenge iske liye sabhi searh engines ne bahut se niyam banaye hue hai aur in niyamo ke aadhar par hi ve blog ya wesite ko rank karte hai.

Aap apne blog ki rank badhane ke liye searh engine optimization ka sahara le sakte ho aur first page rank prapt kar sakte ho.

सर्च इंजन ऑप्टिमाइजेशन (seo) क्या है?


Seo (searh engine optimization) ka matlab hota hai apni website ya blog ke pages ko searh engine result ke liye tayar (optimize) karna jisase ki voh pahle page par rank kar sake aur aapke blog ko badhiya organic traffic prapt ho.

Aap apne blog ka optimization 2 prakar se kar sakte hai jinme pahla hota hai On-Page Seo aur dusara off-page lekin on-page optimization ka adhik mahattov hai aaj hum yanha aapko isi ke baare me batayenge.

On-Page SEO कैसे करते है?


Koi bhi post ya web page create karte samay hum usme jo likhte hai aur add karte hai use aise dhang se tayar karna ki searh engines use badhiya rank de on-page optimization kahlata ha. Aab hum aage ki post me ise karne ke kuch powerfull tareeke batayenge jinka use aapko apne blog par content create karte samay awasy karna chahiye.

1-Keywords Add Karna


Bahut se blogger sabse pahle yanhi galti karte hai aur internet per keywords search kiye bina hi post likh dalte hai to mai un logo ko ye salah dena chahunga ki sahi keywords ka istemal post me jaroor karna chahiye isase search engine ko pata chalta hai ki hamari post kis subject par likhi gayi hai.

Aap jab bhi nayi post apne blog par likhe to sabse pahle thoda targeted keword research jarur kar le aur inko apne blog post ke pahle 100 – 150 words ke andar yani ki apne article ke pahle paragraph me aur last paragraph me add kare isase search engines ko yah pata chal jata hai ki apki post ka subject kya hai aur usi anusar use index karte hai aur result page par pradarshit karte hai.

Apne targeted keyword ko apne post ke title me bhi add kare yah seo ke liye bahut hi jaruri hai aur koshis kare ki yah title ke shuruvat me hi rahe. Aab to aap samajh hi gaye honge ki apne blog post me keywords ka use better on page seo ke liye kaise kare.

2-Attractive Aur Original Image Add Karna.


New blog post ke liye image khud banaye kahi se copy nahi kare aur kosish kijiye ki yah aisi ho jo aapke post ke content ke represent kart ho to jabb bhi aap apni post ko soial media par share karenge to logo dwara apki link par click karne ke chances adhik rahenge aur aapko adhik visitor prapt honge.

Aap paint, photoshop ya fir online tools jaise canva ki help se apne blog post ke liye attractive image create kar sakte ho.

3- Image Optimization


Jab aap apne blog post ke liye koi bhi nayi image banaye to uska naam apne targeted keywords se related de jaise ki agar hum apni is post ke liye image banate hai to uska naam hum seo-kya-hai.jpg de sakte hai.koi aisa naam ya numbers na likhe jiska apki post se koi matlab hi na ho.

Apne blog post me image uplod karne ke baad uski properties ko fill karna na bhule yah on page seo ke liye bahut hi important hai. Yadi aap blogging ke liye blogger plateform ka upyog karte hai to aapko Alt text aur Title Text ko add karne ka option milta hai inko likhte samay bhi apne target keyword ka use kare.

4- Long Post Likhna.


Hamesa lambi post likhne ki aadat dale kyonki log detailed post padhna pasand karte hai koshis kare ki log jis cheej ki jankari khuj rahe thi uski jankari unhe poori mile aur log aapke blog ki post ko padhne me time de isase aap ke blog ka bounce rate kamm hoga jiska matlab hoga ki aapki rank badhegi aur aapke blog me adhik traffic ayega.

Log ek hi subject par bahut se question internet par search karte hai to aap apni lambi post me kai long tail keyword add kar sakte hai jisase aapki post ko adhik organic traffic milta hai.

Kahte hai ki jo building jitni lunbi hoti hai vah utni hi popular hoti hai aisa hi blogging me bhi hota hai agar aap 2000 words ki koi post likhenge long tail keywords ke saath to is post ko badhiya traffic jaroor milega.

5- Permalink optimization


Jab bhi apne post ke liye permalink create kare to usme bhi targeted keyword ka use kare aur koshis kare ki yah link short ho kyonki google link me se shuru ke 5 – 6 words ko adhik mahatvo deta hai.

Short permalink search engine result page par attractive dikhti hai aur log aisi links par adhik click karna pasand karte hai isase hamare blog ka click through rate yani ki CTR bhi badhta hai.

Aab hum aapko batate hai ki CTR kya hota hai? Man lijiye 100 visiter kisi subject per google par search karte hai aur result page par unhe 10 result dikhte hai jinme se aapka blog bhi hai to agar in 100 visitor me se 30 ne aapke blog ko open kiya to iska matlab ki apka CTR 30% hoga.

Jis blog ka click through rate jitna adhik hoga usme traffic bhi utna hi adhik hoga agar aap bhi apne blog ka CTR badhana chahte hai to aapko apne link ko short rakhna chahiye usme keywords ka use karna chahiye aur apne blog post ke liye aisa description likhna chahiye jo apke content ke bare me bataye aur jise padhkar log poora article padhna chahe.

6- Social Shearing


Koi bhi nai post jab apne blog par likhe to unhe social networks jaise ki facebook, twitter par share karna na bhule yah seo ke liye bahut jaruri hai jitna adhik apka ccontent share kiya jayega utna hi uski ranking badhegi. Apne blog me social shearning widget bhi add kare jisase ki jinhe aapka blog post pasand aaata hai vo directly social media par share kar sake.

Agar aap uper likhe hue sabhi steps ka use sahi tareeke se karenge to aapke blog par organic traffic kafi badh jayega. 

Aasha hai ki aap samajh gaye honge ki seo kya hota hai aur apne blog ke liye on page search engine optimization (seo) kaise karte hai. Agar aapko yah post usefull laga ho to ise apni facebook timeline aur twitter profile par share kare. 
Previous Post Next Post