Gmail Par Email Id Kaise Banaye - Help in hindi

gmail-account-kaise-banate-hai
Gmail par Email ID kaise banaye - Gmail ko 2004 me google dwara launch kiya gaya tha aur aaj yah world me sabse popular email service provide karne wali website hai. Gmail account banana bahut hi asan hai aur aap ek hi account se google ki sabhi services jaise ki YouTUbe, Google Drive, Google Plus ko bhi access kar sakte ho.

Gmail Account (Email ID) Kaise Banate Hai

1-


first step to create gmail account

Gmail website par jaiye. Login box ke neeche blue button “create an account” par click kare , yah aap ko “create your google account” page par le jayegi yanha par aap apni email ID bana sakte hai.

2-
user name for gmail account


Aapka user name hi aapka naya email address hoga , agar aapka pasandida user name avilaibal nahi hai to ye aapko option dikhata hai hai jinme se aap koi ek chun sakte hai.

3- Aapko aapna pahla naam aur akhiri naam enter karna hoga jaise ki agar aapka naam hai saurabh shukla to aapka pahla naam hoga saurabh aur doosara hoga shukla. Aapko apni birth date, zender , phone number aur kiss country me aap rahte hai ye bhi enter karna hoga.

4-
gmail verification


Ab agle step me aapko captcha code fill karna hoga, ye ek verification hota hi ki aap ek real user hi na ki koi robot. Agar aapko code samajh nahi aa raha hai to aap refresh button par click karke naya captcha code pa sakte ho.

5- Aapko chahiye ki aap google ki privacy policy aur terms and condition ko dhyan se padhe aur uske baad yadi aap agree hai to check box par click kare.

6- Next step par click kijiye yah aap ko Google + profile banane wale page par le jayegi. Yahh google ko social network hai aur jab bhi aap google ki kisi bhi sewa ke liye account banate hai tab google+ account bhi saath me banta hai.

7- Ek baar aur next step button par click kijiye aur aapka gmail account yani ki email ID taiyar hai. Aap return to gmail button par click kar sakte hai ya fir logout kar sakte hai ya fir google ki koi dusari sewa access kar sakte hai.

Gmail Account (Email ID) ka use kaise kare


1- Laal “Compose” button par click karke aap email likh sakte hai aur bhej sakte hai. “To” field me aapko jise email bhejna hai uski email ID enter karni hogai aap ek saath kai email ID likh sakte ho aur kai logo ko ek hi email ek saath bhej sakte ho. “ Subject” field me aap kis Vishay me email bhej rahe hai yah likhna hoga. Neele rang ki “Send” button par click karte hi aap ka email sabhi ke paas pahunch jayega.

2- Aap apne email me 25mb tak ki file uplod karke bhej sakte ho agar aap isase adhik mb ki file bhejna chahte hai to aapko google drive ka sahara lena hoga.

Aaaj ki date me jyadatar log gmail ka hi use karte hai kyonki yah bahut hi fast aur vishwasniya hai, aap ek hi account se google ki sabhi websites par login kar sakte ho. Hame umeed hai ki aapko ye post pasand aayi hogi aur aap ye seekh gaye honge ki gmail account (email ID) kaise banate hai.

Kuch samajh nahi aa raha ho ya koi sawal ho to comment kare!

Google me upar diye gaye artical se related search kiye jane wale sawal 👇

Gmail ID kaise Banaye

Phone me email id kaise banaye

Mobile se email id kaise banaye

Mobile me gmail id kaise banaye

Create new email account in hindi

email id banani hai mujhe 

mobile me email id kaise banaye

apna email id kaise check kare



Previous Post Next Post