Blog Traffic Kaise Badhaye – My Tips in Hindi.

blog website par traffic badhane ke tarreke
Blog traffic kaise badahye

Apne blog ki readership ko badhana sabhi blogger chahte hai yanha hum aapko aise 20 powerful tarike batayenge jinka use karke aap apne blog par traffic badha sakte ho aur apne manchahe audience ko attract kar sakte ho.

Bahut se log blogging is liye band kar dete hai kyonki unko apne blog par koi traffic najar nahi aata hai. Yanha hum aap ko batana chahenge ki agar koi blogger ye sonhata hai ki traffic apne aap jadu se aa jayega to aisa nahi hota hai aapko audience banane ke liye kuch karya karna padta hai.

Blog Traffic Kaise Badhaye 


Neeche hamne 20 behatreen aur aajmaye hue tareeko ke bare me bataya hai jinka use karke aap apne blog ke traffic ko badha sakte ho.

#Adhik likhne ki aadat dale 


Yanha hum aap ko batana chahenge ki jo blog regularly update hote hai unka traffic adhik hota hai isliye aapko bhi apne blog par daily kam se kam 1 post to awasya hi likhnai chahiye. Google aise blogs aur websites par adhik dhyan deta hai jinme daily naye content add kiye jate hai agar aap regularly apne log ko update nahi kar sakte to hafte me kam se kam 5 post to likhni hi chahiye.

#Apne blog post ki link ko social media par promote kare


Jab bhi koi nayi post likhe to uski link ko social media networks jaise ki Google+, Linkdin,Twitter, Facebook aur Pinterest par jaroor share kare. Agar aap ke content me quality hai to aap apne blog ke liye social networks se badhiya traffic prapt kar sakte ho.

#Attractive Tittle likhe. 


Apke blog post ka tittle bahut hi important hota hai. Kyonki tittle ko dekh karke hi log decide karte hai ki link par click kare ki nahi isliye hamesha koshis kare ki apke blog post ka tittle attractive aur short ho.

#Apne blog ke niche ko jane. 


Aapko apne blog par ek hi niche se related post likhani chahiye. Apne target audience ke bare me sochiye ki wo kaapke blog par kya padhna chahte hai aur aap unhe kya massage den chahte hai ki aapka blog kis topic se sambandhit hai. Man lijiye agar koi weight loss se sambandhit jankari khoj raha hai tab voh isi se related post padhna adhik pasand karega na ki technology.

#Apne blog post me photo bhi add kare. 


Study yah batati hai ki agar aap apni post me photo add karte hai to aap apne blog ki readership ko badha sakte hai. Log photo ke saath post ko adhik pasand karte hai, aap apne blog ke search engine optimization ko badhane ke liye photo ke alt tag me keyword bhi inciude kar sakte ho. Hamesha ye dimag me rakhe ki aap koi bhi photo google se uthakar apni post me nahi rakh sakte kyonki isme copyright law ke ulanghan ka risk hai. Hamesha royalty-free images Clipart.com jaisi sites se dhondhkar use kare.

#Post me keywords ka use kare. 


Yadi seo ki baat kare to keywords seo ka dill hai. Apne blog ya website par traffic badhane ka sabse aasan rasta pratyek post ke liye keywords strategy banana hai. Isliye jab bhi aap nayi blog post likhe tab ek aisa key phrase chune jis par aap vishwas karte hai ki reader’s iska use search engines par aapki post khojne ke liye karenge. Chune hue keyword ka use post ke tittle, heading aur link me bhi kare, content me starting aur end ke paragraph me jaroor kare. Keywords search engines ko batata hai ki apka page kis bare me hai jisase post ko search engine se adhik traffic milta hai.

#Outbound link add kare


Jab bhi aap kisi dusari company ke product ya service ko apne blog post me mention kare to us company ke page ki ek link add karna na bhule. Na kewal google apki site me outbound link dekhna chahta hai balki who company bhi apke post ko notice karti hai aur apki post se apne website ko link kart hai jisase apko apne blog ke liye backlink bhi prapt hoti hai.

#Apne blog par Social Sharing Buttons add kare


Apne blog post ke top and bottom par Facebook, Twitter, Linkdin aur any bade social networks ki social shearing button jaroor add kare jisase ki apke readers apke blog post ko all over internet par share kar sake.

#Apne purane content ko retweet kare


Ham sabhi log twitter ko ek hi samay par nahi dekhte, isliye jab bhi koi nayi post link aap twitter par share karte hai to yah jaroori nahi hai ki aapke sabhi fan usko pahli baar me hi dekh lenge isliye samay – samay par apne purne tweets ko retweet bhi karte rahe.

#Guest post ko invite kare


Jab dusare log aap ke blog ke liye likhte hai to aap adhik content add kar sakte hai aur ye writers post ko apne networks me share bhi karte hai.

#Post me video add kare. 


Apne blog post ke liye video bhi banaye aur unhe YouTube par upload kare.

#Blog me search box add kare


Bahut se log blog par jankari search karne ke liye search box ka upyog karte hai isliye apne blog me isko jaroor add kare.

#Helpful post likhe


Internet par log apne sawalo ke jawab khojate rahte hai isliye hamesha aise post likhe jisase ki logo ki help ho sake aur unko aapke blog par apne sawalo se sambandhit badhiya jankari prapt ho sake.

#Apne blog ki loading speep ko fast kare


Study se ye pata chala hai ki bahut se visitor us blog ko dubara padhna nahi pasand karte jinko khulne me time lagata hai aur bahut se visitor to pahli baar me hi open hone se pahle close karke aage badh jate hai. Isliye hamesha apne blog ki loading speed check karte rahe.

#Guest post share kare


Blog par traffic badhane ka yah sabse hi badhiya tareeka hai, apne blog se milte julte popular blog ka chayan kare aur unme guest post likhe.

#Blog ka seo kare.


Apne blog ka complete seo kare aur content ko full search engine friendly banaye.

#Dusare blogs me comments kare 


Yah backlink banana ka sabse badhiya tarika hai isase aapke blog ki search engine rank bhi badhti hai. Aaapko chahiye ki apne post ki link ke saath dusare blogs me regularly comments kare.

#Subscribe Widget add kare


Agar aap apne blog ke subscribers badhana chahte ho to aapko apne blog par subscribe us widget jaroor add karna chahiye.

#Email me blog link add kare


Jab bhi aap koi email bheje to email signature me or jab koi online profile banaye to bio me apne blog ki link jarror add kar.

Logo ko apne blog post par comment karne ke liye kahe aur unke comments par reply bhi de.

#Simple aur responsive theme chune


Apne blog ke liye responsive aur simple theme chune jisase apke audience ise kisi bhi device me access kar sake.


Yanha uper hamne blog trafic badhane ke liye jin tareeko ki baat ki hai agar aap inka use karenge to aap apne blog ka traffic jaroor badha sakte hai. Yanha par hamne jitney bhi raste bataye hai yah sabhi blog par traffic badhane ke behtareen tareeke hai. 

Tag:-  

apne blog ki traffic kaise badhaye 
website traffic kaise badhaye
apne blog par traffic kaise laye
blog par visitor kaise badhaye,
how to increase traffic on blog in hindi
apni website ki traffic kaise badhaye
blogger traffic kaise badhaye
hindi blog ki traffic kaise badhaye

ये भी पढ़िए:-

Previous Post Next Post